Shaikh Saifullah Mohammadi ka radd aur Ali (Radi Allahu Anhu) ko ‘Mawla Ali’ kehne ka jawaz


(Asal Title: Saifullah Mohammadi Sahab ki Nasbiyat!- Shahriyar Ali Shaikh ki taraf se Urdu mein likhi gayi aur Facebook se copy ki gayi.)

(Tarjuman ki wazahat: Ye mazmoon Shahriyar Ali Shaikh ki Facebook post se liya kiya gaya hai, jis mein unhon ne Moulana Saifullah Mohammadi ka ek aham masle par radd kiya hai. Hum ne isko yahan Roman Urdu mein tarjuma kiya hai takay is ke fawaid se log mustafeed ho saken. Hum zati tour par Moulana Saifullah Mohammadi ko ‘Nasibi’ ya ‘Nasibiyat se mutasir’ kehne ki taeed nahi karte. Allah se dua hai ke hamare achche aamal qubool farmaye aur hamari khataon ko maaf kare.)

Shahriyar Ali Shaikh likhte hain:

(Pasemanzar/Context: Ek video ke mutalliq, jismein Shaikh Saifullah Mohammadi se poocha gaya ke kya hum Ali (Radi Allahu Anhu) ko ‘Mawla Ali’ keh sakte hain? Unhon ne jawab diya ke ye kehna bilkul jaiz nahi hai. Yahan is baat ka radd ho raha hai, InshaAllah.)

Jis tarah Saifullah Mohammadi sahab Ráfiziyon ke propaganda par bade gaur-o-khauz karte hain, toh kabhi yeh Násibiyon ke propaganda par bhi gaur farma lete. Lekin wahan kyun gaur karenge? Kyunki yeh khud Násibiyon ke propaganda mein shamil hain.

Saifullah Mohammadi sahab ne sawal karne wale par bilawajah aur bebuniyad ilzam-tarashi ki hai. Halanke sawal karne wale ne mehez yeh poocha tha ke: “Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu) ko Maula kehna kaisa hai?” aur sath mein us ne yeh hadees bhi zikr ki: “Man kuntu maulah fa hazá Ali mauláhu”.

Ab sawal yeh hai ke sirf is sawal ki buniyad par kisi ko Shiyat se mutassir qarar dena kahan ka insaf hai? Kya Saifullah Mohammadi sahab ko yeh maloom nahin ke sharan kisi Musalman par jhoota ilzam lagana, tohmat bandhna aur bohtan tarashna intehai sangeen gunah aur haram amal hai?

Nabi (Salallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaya: “Man qala fi mu’minin ma laisa fihi, askanahu Allahu radghatal khabal hatta yakhruja mimma qal.”

“Jis ne kisi momin ke baare mein koi aisi baat kahi jo us mein nahin thi, toh Allah Ta’ala us ka thikana jahannamiyon ki peep mein bana dega, hatta ke woh apni baat se baaz aa jaye (ruju kar le).📚 (Sunan Abi Dawood: 3597)

Pehla Aitraz– Saifullah Mohammadi sahab ne kaha: Rasool Allah ﷺ ne farmaya: “Jis ka main Maula hoon, us ka Ali Maula.” aur phir yeh sawal uthaya: “Kya tum ne kabhi kisi ko Rasool Allah ﷺ ko Maula kehte hue suna hai?” Yeh aitraz hi be-buniyad hai. Qur’an mein Allah Ta’ala ne Nabi ﷺ ki kayi sifát zikr ki hain, lekin Sahaba-e-Kiram ne har lafz ke sath Nabi ﷺ ko nahin pukara. Misal ke taur par: Allah ne Nabi ﷺ ko “Rahmat-ul-lil-álamín” kaha hai, lekin kya Sahaba ne kabhi “Ya Rahmatal-lil-álamín” keh kar bulaya? Nahin. Lehaza yeh sawal hi be-buniyad hai.

Dusra Aitraz– Saifullah Mohammadi sahab ne kaha ke Rasool Allah ﷺ ne Syedna Zayd bin Harithah (Radi Allahu Anhu) ko bhi Maula kaha hai. Ji haan! kaha hai. Aur agar koi Syedna Zayd bin Harithah (Radi Allahu Anhu) ko Maula keh de toh is mein koi qabahat nahin. Masla toh yeh hai ke agar koi Syedna Ali ko Maula keh de toh aap (Saifullah Mohammadi) ko masla kyun hai?

Teesra Aitraz– Jahan Násibiyat khul kar samne aati hai. Unhon ne kaha: “Maula ka ma’ana dost hai, aur Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Agar main kisi ko haqeeqi dost banata toh Abubakar ko banata. Is liye Syedna Ali ko Maula kehna najáiz hai.” Inna lillahi wa inna ilayhi rajioon. Yahan Saifullah Mohammadi sahab ne shadeed khalt-e-mabhas (confusion of the issue) kiya hai. Hadees mein hai: “Lau kuntu muttakhizan khálílan lat-takhaztu Aba Bakrin khálílan, wa lakin akhí wa sahibí.” “Agar main kisi ko Khalíl banata toh Abubakar ko banata, lekin woh mera bhai aur mera saathi hai.” Yahan lafz Khalíl aaya hai, jis ka matlab hai gehra dost, sab se a’ala darje ka rafeeq. Yeh hadees Hazrat Abubakr (Radi Allahu Anhu) ki fazilat bayan karti hai, is se yeh kaise sabit ho gaya ke Syedna Ali (Radi Allahu Anhu) ko Maula kehna najáiz hai? Aur jo mafhoom is hadees se Saifullah Mohammadi akhz kar rahe hain kya salaf ne bhi yahi mafhoom akhz kiya jo Saifullah Mohammadi akhz kar rahe hain?? “Khalíl” aur “Maula” do alag mafoom hain. Inhein khalt-malt karna jahálat hai.

Aur sab se ahem baat- agar waqai Syedna Ali ko Maula kehna najáiz hota toh phir Syedna Abu Ayyub Ansari (Radi Allahu Anhu) ne kyun Syedna Ali ko “Maula” kaha? Syedna Zayd bin Harith (Radi Allahu Anhu) ko toh Sahaba se Maula kehna sabit nahin. Lekin Hazrat Ayyub al-Ansari (Radi Allahu Anhu) se Syedna Ali ko “Ay mere Maula, aap par salamati ho” kehna bilkul sabit hai.

Rabaah bin Harith (Rahimahullah) farmate hain: “Jab Ali (Radi Allahu Anhu) Rahbah mein baithe hue the toh ek shakhs safar ke asaar ke sath aaya aur kaha: “As-Salamu `alayka ya Maulaí” (Ay mere Maula, aap par salamati ho). Toh Ali (Radi Allahu Anhu) ne farmaya: “Yeh kon hai?” Logon ne kaha: “Yeh Abu Ayyub al-Ansari (Radi Allahu Anhu) hain.” Toh Abu Ayyub (Radi Allahu Anhu) ne farmaya: “Main ne Rasool Allah (Salallahu Alaihi Wa Sallam) ko farmate hue suna: Jis ka main Maula hoon, us ke Ali bhi Maula hain.”

📚 Ibn Abi Shaybah (32736) aur Ahmad (23959) ne riwayat kiya hai, aur Al-Hasani ne apni kitaab “Al-Jami’ Al-Musnad As-Sahih” (2796) mein is ki tasheeh ki hai.

Ab sawal yeh hai: Saifullah Mohammadi sahab jin ka da’wa hai ke woh “Manhaj-e-Salaf” par hain, woh is bare mein kya kahenge ke Syedna Abu Ayyub al-Ansari (Radi Allahu Anhu) ne toh khud Syedna Ali ko Maula kaha? Kya woh bhi (na’oozu billah) najáiz laqab istemal kar rahe the? [End.]

(Tarjuman ki wazahat: Abu Ayyub al-Ansari ki riwayat Shahriyar Ali Shaikh ke Urdu maqalay se tarjuma ki gayi thi, asal Urdu matan mein Ali ke naam ke baad ‘Alaihis Salam’ likha gaya tha. Main ne isko ‘Radi Allahu Anhu’ kar diya taa-ke log ek aur masle, yaani ‘Kya hum Sahaba ya Ahlul-Bayt ke liye Alaihis Salam ka istemal kar sakte hain?’ ke baare mein uljhan mein na padh jaen. Is ka jawab ‘Haan’ hai, lekin hamein is baat ki tafseel mein abhi nahi jana hai.)

-Shahriyar Ali Shaikh. (Mohammed bin Thajammul Hussain Manna ne Urdu se Roman Urdu mein tarjuma kiya hai).