Taraweeh Ke Namaz Mein Rakatein Kitni Hain? – Imam Ibn Taymiyyah

Shaykh al-Islam Ibn Taymiyyah ne kaha:

Agar koi shaks Taraweeh namaz Abu Hanifah, ash-Shafi’i aur Ahmad ke madhahib ke mutabiq bees (20) rakat padhta hai, ya Malik ke madhab ke mutabiq chhattis (36) rakat, ya gyarah (11) ya terah (13) rakat padhta hai, to usne achha kiya, jaisa ke Imam Ahmad ne kaha, kyun ke rakatein muqarrar nahi ki gayi hain (Ahadith mein). Tho rakat ki kami ya zayadti qiyam (namaz mein khade hone) ke lamba ya chhota hone par mabni hai. (Al-Ikhtiyarat, page. 64)

Source