Ahlehadeeson se Sawaal — Isa ibn Maryam kya Ahle Hadees honge ya sirf Muslim?

(Sawaal) 
Isa (alaihis salaam) kis jamaat se honge? Kya woh Muslim hi honge ya Ahlul Hadeeth/Salafi bhi honge?

(Jawaab)

Alhamdulillahi Rabbil ‘aalameen, was salaatu was salaamu ‘ala ashrafil ambiyaa’i wal mursaleen, ammaa ba’d: 

Assalaamu alaikum wa rahmatullahi wa barakaatuhu…

* Jab Isa ibn Maryam aayenge to woh sab ko Qur’an aur Sahih Hadeeth par hi jama karenge, jab humko khud ko Salafi/Ahlul Hadeeth bolne ki zarurat nahin hogi.

* Jo us waqt mein Isa (alaihis salaam) ki jamaat mein hoga woh haq par hoga, nahin to gumrah hoga.

* Jab tak Isa (alaihis salaam) nahin aayenge to hamein doosri jamaaton se imtiyaaz ke liye naam Salafi/Ahlul Hadeeth ki zarurat hai.

* Agar Ahlul Hadeeth kehna ya kehlawaana haraam/bid’at/gunah hai to aap yeh fatwa un Tabi’een, Taba’-Tabi’een aur Muhaddiseen par bhi laga dein jinhone mutawaatir taur par in alfaaz ka istemaal kiya tha.

* Aur agar Ahlul Hadeeth kehna bid’at hai, aur Ahlul Hadeeth word use karne waala bid’ati, to phir Imam Al-Bukhari aur Imam Muslim (rahimahumallah) bhi bid’ati hain, to phir tum kahaan se apne ‘only Muslim’ muhaddis laaoge.

* Agar Salaf-e-Saaliheen mein se Tabi’een, Taba’-Tabi’een, Muhaddiseen ne khud ko Ahlul-Hadeeth ya Ahlus-Sunnah bataya, to phir hamaare liye bhi khud ko Muslim ke alawa aur koi naam ka istemaal karna jaiz hai.

* Haan, hum maante hain ki yeh waajib nahin hai, par yeh kehna ki haraam hai — is baat ki koi daleel nahin hai. Salaf-us-Saaliheen ke amal se yeh halaal saabit hota hai.

Aur tamaam tareefein Allah Azzawajal ke liye hain….

(Penned by Mohammed bin Thajammul Hussain Manna, originally on June 16, 2012. Slightly edited, corrected and reposted here on 31st May 2026.)

Leave a comment